Zara khamosh rah kar b unhain sab kuch suna daina
Zuban se kuch na kahna daikh kar ansu baha daina
Main mujrim hun mujhay iqrar hai jurm-e-muhabbat ka
Magar pahlay khata par ghore kar lo phir saza daina
Ijazat ho to kah dun qissa-e-ulfat sar-e-mahfil
Mujhay kuch to fasana yaad hai kuch tum suna daina
viki mehmood
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment