Search This Blog

Friday, January 29, 2010

Dard bhar

Dard bhar ker khud dawa ho jaye to hum kya Karen
Charagar Hum se khafa ho jaye to hum kya Karen
Ain Mumkin tha ke gham se hum bhi pa jatay nijat
Dil Magar Gham aashna ho jaye to hum kya Karen


Hum Zaban se kuch kahain to aap ka shikwa baja
Koi aanso labkusha ho jaye to hum kya Karen


Apni Janib se to ki hum nay hamesha ahtiyaat
Phir bhi bhoolay se khata ho jaye to hum kya Karen


Hum Saza ke mustahiq hotay to koi gham na tha
Be Khata Hukm e Saza ho jaye to hum kya Karen


Maazrat Karnay ko hum kar lain magar kis jurm ki
Be Sabab koi khafa ho jaye to hum kya Karen


Be wafa keh kar TUMHEN hum khud bhi pachhtaye magar
Be rukhi hud se sawa ho jaye to hum kya Karen


M H Aabnosh
SULTANATE OF OMAN

No comments:

Post a Comment